Subscribe Us

Responsive Advertisement

Advertisement

Sheikh Saadi Aqwal In Urdu | Sheikh Saadi Quotes in Urdu / Best Collection | life changing quotes

Shaikh Saadi Ke Qeemti Aqwal -Urdu Quotes-sheikh saadi life changing quotes in urdu


Shaikh Saadi Shirazi
Renowned Urdu Statements Pictures, Aqwal pictures with dark foundation. Statements of Sheik Saadi Urdu, Saadi Statements.

Find and offer Shaikh Saadi Statements In Urdu. Investigate our assortment of persuasive and axioms by creators you know and love.
SHEIKH SAADI LIFE CHANGING QUOTES IN URDU · Achi Adaat Ki Malikah Aurat Agar Faqeer Ke Ghar Bhi Ho · Tou Usay Badshah Bana Deti Hai – Sheikh Saadi,

FOR BEST QUOTES COLLECTION                 CLICK  HERE 



"Ma khuda sy darta hun aur khuda k bad un sy darta hun jo khuda sy nahi dartey."




Aqalmand aur bewaqofon ma kuch na kuch aib zaror hota hai magr aqalmand apney aib ko khud dekhta hai aur bewaqofon ka aib dunya dekhti hai.




Ma pori zindgi do bandon ko talash karney par bhi talash na kar saka aik woh jis ny Allah k naam par dia hu aur ghareeb hu gya hu aur dosra woh jis ny zulm kiya hu aur Allah ki pakarh sy bach gya hu.



Kabhi bhi bewaqoof ko apna rahnuma na mank khawa dunya ma aqqal mand na rahein kyon k khobian kabhi khamian nahi ban saktei., Aur na achi cheez ki adam majoodgi ma koi buri cheez behtar aur achi hu sakti hai.






Nadan dhool ki manand hota hai buland awaz hota hai magr andar sy khali hota hai.




Dushman sy hamesha bacho, aur dost sy us waqt jab woh tumari tahreef karney lagey.



Nasehat kahwa dewar par likhi hu ussey kaan ma daalo.

  

Jo apni sy wafa nahi karta woh danaon k nazdeek kisi ka dost nahi hota. 




Merey pas waqt nahi hai un logon sy nafrat karney ka jo mujh sy nafrat karty hain kyon k ma masroof rehta hhn un logon ma jo mujh sy muhabbat karty hain.




Jahilon ka tariqa ye hai k jab un ki daleel muqabal k agey nahi chalti tu woh larhna sharo kar dety hain. 
Sheikh Saadi Quotes In Urdu




Tu nek hu aur log tujhey bura kahein, us sy acha hai k tu bura hu aur log tujhey neik kahein.



Jis ko aik muddat ma dost banaein munasib nahi k ussey aik lamhey ma kho dein.




Sheikh Saadi sy kisi ny pocha haal kesa hai? Jawab dia, Allah ki nehmatein kha kha kar daant toot gy hain, magr zuban us ki nashukri sy baaz nahi aati.



             Sabr rakho, har cheez asaan honey sy pehly mushkil hoti hai.




Ma aj tak apni khamoshi par nahi pachtaya jab b pachtaya apney bolney py pachtaya.



Kisi ko itna pyar do k gunjaish na chorhi agr woh phir bhi tumara na ban saky tu ussey chorh do kyon k woh muhabbat ka talabgar he ni balkey woh zaroat ka pujari hai..



Achi adat ki maalik nek aur parsa aurat kisi faqeer k ghaf ma bhi hu tu usey bhi badshah bna deti hai. Saadi Shirazi Quotes In Urdu




Aadmi k ilm ka andaza tu aik din hu jata hai lakin nafs ki khabasat ka pta barson ma bhi nahi chalta.




Kisi ko achey amal sy dilli khushi dena hazar sajdey karney sy behtar hai.



Is sy tu khamoshi behtar hai k kisi ko dil ki bat keh kar phir usko kaha jae k kisi ko na kehna.



Mayosi aik dhoop hai jo sakht sy sakht wajood ko jala kar rakh kar deti hai.



Agarcha insan ko muqadar sy zyada rizq nahi milta lakin rizq ki talash ma susti nahi karni chahye. Saadi Shirazi Quotes In Urdu



Aadmi k jhota honey k lye itna hi kaafi hai k woh har suni sunai bat par yaqeen kar ly.





Tahleem insan ko bolna tu sikha deti hai magr ye ni sikhati k kab, kahan aur kitna bolna hai.



Sheerein kalam aur naram zuban insan k ghussey ki aag par pani ka sa assar rakhti hai.




Agr mard e khuda ko aik roti milley tu woh aadhi faqeer ko dy daalta hai agr hareez ko aik mulk ki badshahat bhi mil jae, tu woh dosra paaney k khyal ma rehta hai.




Mujhey is dunya sy kya lena jis k halal main hisaab aur haram ma azaab hai. Sheikh Saadi Quotes In Urdu



Jo sakhi khayd aur dy us ibadat guzar sy behtar hai jo ly aur jamah karey.



Sakhawat ka hath taqatwar bazo sy behtar hai.




Har woh larka jo ustad ki sakhtian nahi jheelta ussey zamaney ki sakhtian jheelna parhti hain.



Eyse dost sy hath dho lena behtar hai jo terey dushmani k sath bethta hu. 
Sheikh Saadi Quotes In Urdu



Saanp ko maarna lakin uskey bachey ki hifazat karna danaon ka kam nahi.




Jo shakhs apney har kam ko pasand karta hai us ki aqqal ma khalal a jata hai.




Toba karna asaan hai lakin gunah chorhna mushkil.




Jo shakhs dosron k gham sy be gham hai aadmi kehlaney ka mustahiq nahi.

sheikh saadi ke aqwal in urdu pdf

Gulistan e Saadi in Urdu pdf free download

sheik Saadi books in Urdu pdf free download

sheik Saadi shiraz's books in Urdu

sheikh saadi ka asal naam kya tha

sheik Saadi completing the story for hsc

sheik saadi quotes in Urdu

sheik saadi quotes in Urdu 2lineurdupoetry

sheik Saadi biography in Urdu















ایک تبصرہ شائع کریں

0 تبصرے

Home Top Ad

Responsive Ads Here

Breaking

Featured

Recent in Food